Wednesday, November 27, 2013

Zindagi Mein To Sabhi

Song: Zindagi Mein To Sabhi
Singer - Mehdi Hasan

zindagi mein to sabhi pyar kiya kartay hain
zindagi mein to sabhi pyar kiya kartay hain
mein to mar kar bhi meri jaan tujhay chahoon gaa...

tu mila hai to yeh ehsaas huwa hai mujh ko
yeh meri umr mohobat kay liyee thordi hai
ek zara sa gham dowraan ka haq hai jis par
main nay wo sans bhi teray liyee rakh chordi hai
tujh pay ho jaoon ga qurban tujhay chahoon gaa…

apnay jazbat naghmat nachanay kay liyee
main nay dharkan ki tarha dil mein basaya hai tujhay
mein tasawwur bhi judayee ka bhala kaisay karoon
mein nay kismat ki lakeroon say churaya hai tujhay
pyar ka ban nigheyban tujhay chahoon gaa…

teri har champ say jaltay hain khayaloon mein chiragh
jab bhi tu ayee jagata huwa jadoo ayee
tujh ko choo loon to phir ayee janay tamanna mujh ko
taray tak apnay badan say teri khushbu ayee
tu baharoon ka hai anwan tujhay chahoon gaa… 

No comments:

Post a Comment