Wednesday, December 18, 2013

Unse Nain Milakar Dekho

Song: Unse Nain Milakar Dekho

Unse Nain Milakar Dekho, Ye Dhokha Bhi Khaa Kar Dekho
Duuri Mein Kya Bhed Cchupa Hain, Iskaa Khoj Lagakar Dekho
Kisi Akeli Shaam Ki Chup Mein, Giit Purane Gaakar Dekho
Aaj Ki Raat Bahut Kaali Hain, Soch Ke Deep Jalakar Dekho

Jaag Jaag Kar Umr Kati Hain, Neend Ke Dvaar Hilaakar Dekho
Unse Nain Milakar Dekho.

Mein Hawa Hoon Kahan Watan Mera

Song:  Mein Hawa Hoon Kahan Watan Mera
Ghazal:   Ahmed & Mohammed Hussain

Ab kaha hun, kahan nahi hun main
Jiss jagah hun wahan nahi hun main
kaun awaaz de raha hai mujhe
koi keh? de yahan nahi hun main

Main Hawa Hoon Kahan Watan Mera
ab kahaan hoon.. kahaan nahi hoon main
ab kahaan hoon.. kahaan nahi hoon main
jis jagah hoon wahaan nahi hoon main
main hawa hoon kahaan watan mera
dasht mera na ye chaman mera
kaun awaz de raha hai mujhe
koi keh de yahaan nahi hoon main
main hawa hoon kahaan watan mera
dasht mera na ye chaman mera
mai ke har chand ek khaana nashin
anjuman anjuman suhan mera
dasht mera na ye chaman mera
main hawa hoon kahaan watan mera
barg-e-gul par charag sa kya hai
choo gaya tha use dahan mera
dasht mera na ye chaman mera
main hawa hoon kahaan watan mera
mai ke toota hua sitara hoon
kya bigaregi anjuman mera
dasht mera na ye chaman mera
main hawa hoon kahaan watan mera
har ghadi ek naya takaza hai
dard sar ban gaya badan mera
dasht mera na ye chaman mera
main hawa hoon kahaan watan mera
main hawa hoon kahaan watan mera

Rafta rafta woh meri hasti

Song    : Rafta rafta woh meri hasti
Singer  : MEHDI HASAN
Film    : zeenat
Poet    : tasleem fazli

Rafta rafta woh meri hasti ka saamaan ho gaye,
Subtly and gradually, she became the reason for my existence

Pehlay jaan, phir jaan-e-jaan, phir jaan-e-jaana ho gaye
First my life, then the love of my life, finally she became the beloved of my life

Din-b-din badti gehin is husn ki raaniyaan.
Day by day, her beauties gracefulness increased

Pehlay Gul, phir gul-badan, phir gul-badamaan ho gaye
First she smelt like a rose, then she transformed into a rose, finally she became the greatest rose

Aap to nazdeek say nazdeek-tar aatay gahey
You kept coming closer and closer to me

Pehlay dil, phir dilruba, phir dil kay mehmaan ho gaye
First my heart, then my sweetheart, finally she took abode in my heart

Rafta rafta woh meri hasti ka saamaan ho gaye
Subtly and gradually, she became the reason for my existence

Pyar jab Hadd se badha saare Taqaloof mith gaye
When love transcended its limit, all formalities were erased

Aap se phir tum huay phir tu ka unwaan hogaye
First we were formal, then we became informal, finally we became one

Wednesday, November 27, 2013

Har Dard Ko Ae Jaan

Song: Har Dard Ko Ae Jaan
Singer: Mehdi Hassan

Har Dard Ko Ae Jaan Main Seeney Main Chupa Loun
Kaante Teri Raahon Ke Main Palkon Pe Saja Loun
Bichdi Hai Meri Neend Bhi Bichda Hai Tu Jab Se
Jee Chahae Tuje Roz He Khawabon Main Bula Loun
Tu Paas Na Aa Haan Zara Daman Tu Badha De
Ashkon Ko Kahan Tak In Ankon Main Sanbhalun
Ye Ishq Ka Ilzam Bhi Ilzam Hai Koi
Tere Liye Duniya Ke Har Ilzam Utha Loun
Le Jaye Kahan Jane Hamen Waqt Ka Darya
Is Dil Pe Lage Zakham Zara Aj Dikha Loun

Dil-e-naadaa tujhe

Song: Dil-e-naadaa tujhe
Singer: Mehdi Hassan
Ghazal by: Galib

dil-e-naadaa tujhe huaa kyaa hai
aakhir is dard ki davaa kyaa hai

ham hai mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahi, ye maajaraa kyaa hai

mai bhi muh me zubaan rakhataa hun
kaash puchho ki mudda kyaa hai

jabaki tujh bin nahi koi maujud
phir ye hagaamaa ai khudaa kyaa hai

ye pari-cheharaa log kaise hai
gamazaa-o-ush{}vaa-o-adaa kyaa hai

shikane-zulafe-amabari kyaa hai
nigaahe-chashme-surama saa kyaa hai

sabz-o-gul kahaan se aaye hai
abr kyaa chiz hai, havaa kyaa hai

hamako unase vafaa ki hai ummid
jo nahi jaanate vafaa kyaa hai

haan bhalaa kar, teraa bhalaa hogaa
aur daravesh ki sadaa kyaa hai

jaan tum par nisaar karataa hun
mai nahi jaanataa duaa kyaa hai

maine maanaa ki kuchh nahi ``gaalib''
muft haath aaye, to buraa kyaa hai

Khuli Jo Aankh

Song: Khuli Jo Aankh
Singer: Mehdi Hassan

Khuli Jo Aankh To Wo Tha Na Wo Zamaana Tha
Dahakati Aag Thi Tanhaayi Thi Fasaana Tha

Gamon Ne Baant Liya Hai Mujhe Yuun Aapas Mein
Ki Jaise Main Koyi Luuta Huwa Kazaana Tha

Juda Hai Shaak Se Gul-Rut Se Aashiyaane Se
Kali Ka Jurm Ghadi Bhar Ka Muskuraana Tha

Ye Kya Ki Chand Hi Qadamon Mein Thak Ke Baith Gaye
Tumhein To Saath Mera Duur Tak Nibhaana Tha
MEHDI HASAN Khuli Jo Aankh To Wo Tha Na Wo Zamaana Tha Lyrics

Mujhe Jo Mere Lahu Mein Dabo Ke Guzara Hai
Wo Koyi Gair Nahin Yaar Ek Puraana Tha

Kud Apane Haath Se \' Shahazaad\' Usako Kaat Diya
Ki Jis Darakt Ki Tahani Pe Aashiyaana Tha 

Main Hosh Mein Tha

Song: Main Hosh Mein Tha
Singer: Mehdi Hassan

Main Hosh Mein Tha Tou Phir Uss Pe Mar Gaya Kaise
Yeh Zehar Mere Lahoo Mein Utter Gaya Kaise

Kuch Uss K Dil Mein Lagawat Zaroor Thi Warna
Woh Mera Haath Daba Ker Guzar Gaya Kaise

Zaroor Uss Ki Tawajo Ki Rehbari Ho Gi
Nashe Mein Tha Tou Main Apne Hi Ghar Gaya Kaise

Jise Bhulaye Kayi Saal Ho Gaye Kamil
Main Aaj Uss Ki Gali Se Guzar Gaya Kaise