Wednesday, December 18, 2013

Unse Nain Milakar Dekho

Song: Unse Nain Milakar Dekho

Unse Nain Milakar Dekho, Ye Dhokha Bhi Khaa Kar Dekho
Duuri Mein Kya Bhed Cchupa Hain, Iskaa Khoj Lagakar Dekho
Kisi Akeli Shaam Ki Chup Mein, Giit Purane Gaakar Dekho
Aaj Ki Raat Bahut Kaali Hain, Soch Ke Deep Jalakar Dekho

Jaag Jaag Kar Umr Kati Hain, Neend Ke Dvaar Hilaakar Dekho
Unse Nain Milakar Dekho.

Mein Hawa Hoon Kahan Watan Mera

Song:  Mein Hawa Hoon Kahan Watan Mera
Ghazal:   Ahmed & Mohammed Hussain

Ab kaha hun, kahan nahi hun main
Jiss jagah hun wahan nahi hun main
kaun awaaz de raha hai mujhe
koi keh? de yahan nahi hun main

Main Hawa Hoon Kahan Watan Mera
ab kahaan hoon.. kahaan nahi hoon main
ab kahaan hoon.. kahaan nahi hoon main
jis jagah hoon wahaan nahi hoon main
main hawa hoon kahaan watan mera
dasht mera na ye chaman mera
kaun awaz de raha hai mujhe
koi keh de yahaan nahi hoon main
main hawa hoon kahaan watan mera
dasht mera na ye chaman mera
mai ke har chand ek khaana nashin
anjuman anjuman suhan mera
dasht mera na ye chaman mera
main hawa hoon kahaan watan mera
barg-e-gul par charag sa kya hai
choo gaya tha use dahan mera
dasht mera na ye chaman mera
main hawa hoon kahaan watan mera
mai ke toota hua sitara hoon
kya bigaregi anjuman mera
dasht mera na ye chaman mera
main hawa hoon kahaan watan mera
har ghadi ek naya takaza hai
dard sar ban gaya badan mera
dasht mera na ye chaman mera
main hawa hoon kahaan watan mera
main hawa hoon kahaan watan mera

Rafta rafta woh meri hasti

Song    : Rafta rafta woh meri hasti
Singer  : MEHDI HASAN
Film    : zeenat
Poet    : tasleem fazli

Rafta rafta woh meri hasti ka saamaan ho gaye,
Subtly and gradually, she became the reason for my existence

Pehlay jaan, phir jaan-e-jaan, phir jaan-e-jaana ho gaye
First my life, then the love of my life, finally she became the beloved of my life

Din-b-din badti gehin is husn ki raaniyaan.
Day by day, her beauties gracefulness increased

Pehlay Gul, phir gul-badan, phir gul-badamaan ho gaye
First she smelt like a rose, then she transformed into a rose, finally she became the greatest rose

Aap to nazdeek say nazdeek-tar aatay gahey
You kept coming closer and closer to me

Pehlay dil, phir dilruba, phir dil kay mehmaan ho gaye
First my heart, then my sweetheart, finally she took abode in my heart

Rafta rafta woh meri hasti ka saamaan ho gaye
Subtly and gradually, she became the reason for my existence

Pyar jab Hadd se badha saare Taqaloof mith gaye
When love transcended its limit, all formalities were erased

Aap se phir tum huay phir tu ka unwaan hogaye
First we were formal, then we became informal, finally we became one